naghma tha ya ki git sunai nahin diya
naġhma thā yā ki giit sunā.ī nahīñ diyā
aisā thā gahrā rang dikhā.ī nahīñ diyā
ubhrī thī ek shakl fasīl-e-nigāh par
phir us kā koī naqsh dikhā.ī nahīñ diyā
maiñ kheltā rahā unhīñ tuġhyāniyoñ ke biich
tūfāñ kā shor kuchh bhī sunā.ī nahīñ diyā
jab dil meñ aa gayā mire ghar-bār chhoḌ kar
phir aisā kyā huā ki dikhā.ī nahīñ diyā
tāroñ kī dhuup chhāñv meñ soyā tamām raat
jo ḳhvāb dekhnā thā dikhā.ī nahīñ diyā
āhistagī se vo mirī jaañ meñ utar gayā
hangāma aisā thā ki sunā.ī nahīñ diyā
Takrā ke ḳhud se rah ga.ī merī nigāh-e-shauq
maujoñ ke ār-pār dikhā.ī nahīñ diyā
har nok-e-ḳhār ko maiñ dikhātā lahū kā rang
sahrā ne izn-e-ābla-pā.ī nahīñ diyā
halchal machā dī us ne mirī zaat meñ magar
kuchh hausla-e-sang-kushā.ī nahīñ diyā
us kī sadā navāh-e-dil-e-yāsman kī thī
yaanī ki dars-e-sho.ala-navā.ī nahīñ diyā
baiThā huā hai ġham kī tarah dil kī raah meñ
us ne bichhaḌ ke dard-e-judā.ī nahīñ diyā
vo chāñd jis ko chāñd kaheñ kā.enāt kā
aisā to koī chāñd dikhā.ī nahīñ diyā
kyā naqsh-e-pā-e-gul haiñ jo taktā hai ġhaur se
mujh ko to kuchh zamīñ pe dikhā.ī nahīñ diyā
'ajmal' jamāl-e-yār kī ra.anā.ī kuchh na pūchh
aks-e-ruḳh-e-ḳhayāl dikhā.ī nahīñ diyā
naghma tha ya ki git sunai nahin diya
aisa tha gahra rang dikhai nahin diya
ubhri thi ek shakl fasil-e-nigah par
phir us ka koi naqsh dikhai nahin diya
main khelta raha unhin tughyaniyon ke bich
tufan ka shor kuchh bhi sunai nahin diya
jab dil mein aa gaya mere ghar-bar chhoD kar
phir aisa kya hua ki dikhai nahin diya
taron ki dhup chhanw mein soya tamam raat
jo KHwab dekhna tha dikhai nahin diya
aahistagi se wo meri jaan mein utar gaya
hangama aisa tha ki sunai nahin diya
Takra ke KHud se rah gai meri nigah-e-shauq
maujon ke aar-par dikhai nahin diya
har nok-e-KHar ko main dikhata lahu ka rang
sahra ne izn-e-abla-pai nahin diya
halchal macha di us ne meri zat mein magar
kuchh hausla-e-sang-kushai nahin diya
us ki sada nawah-e-dil-e-yasman ki thi
yani ki dars-e-shoala-nawai nahin diya
baiTha hua hai gham ki tarah dil ki rah mein
us ne bichhaD ke dard-e-judai nahin diya
wo chand jis ko chand kahen kaenat ka
aisa to koi chand dikhai nahin diya
kya naqsh-e-pa-e-gul hain jo takta hai ghaur se
mujh ko to kuchh zamin pe dikhai nahin diya
'ajmal' jamal-e-yar ki ranai kuchh na puchh
aks-e-ruKH-e-KHayal dikhai nahin diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.