naghma yun saz mein taDpa meri jaan ho jaise
naġhma yuuñ saaz meñ taḌpā mirī jaañ ho jaise
merā dam ho mire siine kī fuġhāñ ho jaise
yak-ba-yak ruuh meñ uTThā hai vo tūfān-e-ḳhamosh
vādi-e-gul meñ nasīm-e-guzarāñ ho jaise
naġhma-o-raqs huī jaatī hai har mauj-e-ḳhayāl
chāñdnī-rāt meñ dariyā kā samāñ ho jaise
kyā sunātī hai ye sāzoñ kī sadā-e-dil-soz
kuchh hamīñ dard-nasīboñ kā bayāñ ho jaise
yuuñ tirī chashm-e-mudārāt pe dil bholā hai
nashsha-e-mai pe javānī kā gumāñ ho jaise
dil hai yuuñ be-dilī-e-hosh ke hāthoñ larzāñ
koī qātil se talab-gār-e-amāñ ho jaise
raah jiine kī kahāñ soḳhta-jānī ke baġhair
har nafas sho.ala-e-ḳhātir kā dhuāñ ho jaise
ḳhuub naqsha hai mire fikr kī jaulānī kā
koī kam-baḳht asīrī meñ javāñ ho jaise
us ne yuuñ arz-e-mohabbat pe sambhal kar dekhā
us ke dil ko to ḳhabar ho na gumāñ ho jaise
ik navā hāsil-e-sad-ahd-e-fuġhāñ hai 'haqqī'
bū-e-gul laakh bahāroñ kā nishāñ ho jaise
naghma yun saz mein taDpa meri jaan ho jaise
mera dam ho mere sine ki fughan ho jaise
yak-ba-yak ruh mein uTTha hai wo tufan-e-KHamosh
wadi-e-gul mein nasim-e-guzaran ho jaise
naghma-o-raqs hui jati hai har mauj-e-KHayal
chandni-raat mein dariya ka saman ho jaise
kya sunati hai ye sazon ki sada-e-dil-soz
kuchh hamin dard-nasibon ka bayan ho jaise
yun teri chashm-e-mudaraat pe dil bhola hai
nashsha-e-mai pe jawani ka guman ho jaise
dil hai yun be-dili-e-hosh ke hathon larzan
koi qatil se talab-gar-e-aman ho jaise
rah jine ki kahan soKHta-jaani ke baghair
har nafas shoala-e-KHatir ka dhuan ho jaise
KHub naqsha hai mere fikr ki jaulani ka
koi kam-baKHt asiri mein jawan ho jaise
us ne yun arz-e-mohabbat pe sambhal kar dekha
us ke dil ko to KHabar ho na guman ho jaise
ek nawa hasil-e-sad-ahd-e-fughan hai 'haqqi'
bu-e-gul lakh bahaaron ka nishan ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.