naghmagi shahr ki jangal ka fusun bhi ghaeb
naġhmagī shahr kī jangal kā fusūñ bhī ġhā.eb
jitnī raftār baḌhī utnā sukūñ bhī ġhā.eb
asp-e-idrāk mirā mujh ko kahāñ le aaya
ḳhush-ḳhayālī bhī dhuāñ jazb-e-junūñ bhī ġhā.eb
aur ab le gayā aa kar vo shu.ūr-o-ehsās
daulat-e-ḳhvāb to thī pahle se yuuñ bhī ġhā.eb
barf ab ke ye jamī kaisī ragoñ meñ apnī
jism kī aag bhī gum soz-e-darūñ bhī ġhā.eb
kisht-e-jāñ soḳhta vīrāñ hai dayār-e-dil bhī
ya.anī mujh se vo mirā hāl-e-zabūñ bhī ġhā.eb
zindagī laa.ī kahāñ ham ko batāo 'jāved'
aañkh hairat se tahī dil se hai ḳhuuñ bhī ġhā.eb
naghmagi shahr ki jangal ka fusun bhi ghaeb
jitni raftar baDhi utna sukun bhi ghaeb
asp-e-idrak mera mujh ko kahan le aaya
KHush-KHayali bhi dhuan jazb-e-junun bhi ghaeb
aur ab le gaya aa kar wo shuur-o-ehsas
daulat-e-KHwab to thi pahle se yun bhi ghaeb
barf ab ke ye jami kaisi ragon mein apni
jism ki aag bhi gum soz-e-darun bhi ghaeb
kisht-e-jaan soKHta viran hai dayar-e-dil bhi
yani mujh se wo mera haal-e-zabun bhi ghaeb
zindagi lai kahan hum ko batao 'jawed'
aankh hairat se tahi dil se hai KHun bhi ghaeb
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.