naghmagi sher ghina chand ka kangan aankhen
naghmagi sher ghina chand ka kangan aankhen
Musarrat Jabeen Zeba
MORE BYMusarrat Jabeen Zeba
naġhmagī sher ġhinā chāñd kā kañgan āñkheñ
ik machalte hue ehsās kā āñgan āñkheñ
lahlahāte hue shādāb kañval lipTā kar
koī ehsās dilātī haiñ madhūban āñkheñ
kuchh samajh meñ nahīñ aatā maiñ kahūñ kyā un ko
sho.ala-e-tūr yad-e-baizā ki kundan āñkheñ
mere ehsās ke kāñTe to nikalte hī nahīñ
phuul aur motī chunā kartī haiñ mālan āñkheñ
ek sā rahtā nahīñ aañkh ke mausam kā mizāj
kabhī be-rut bhī lagā letī haiñ sāvan āñkheñ
saañs kī Dor se vābasta hai lekin 'zebā'
bāñdh letī haiñ jo anjāne meñ bandhan āñkheñ
naghmagi sher ghina chand ka kangan aankhen
ek machalte hue ehsas ka aangan aankhen
lahlahate hue shadab kanwal lipTa kar
koi ehsas dilati hain madhuban aankhen
kuchh samajh mein nahin aata main kahun kya un ko
shoala-e-tur yad-e-baiza ki kundan aankhen
mere ehsas ke kanTe to nikalte hi nahin
phul aur moti chuna karti hain malan aankhen
ek sa rahta nahin aankh ke mausam ka mizaj
kabhi be-rut bhi laga leti hain sawan aankhen
sans ki Dor se wabasta hai lekin 'zeba'
bandh leti hain jo anjaane mein bandhan aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.