naghmon ka shahr tha kabhi aahon ka shahr tha
naġhmoñ kā shahr thā kabhī aahoñ kā shahr thā
ye dil tirī badaltī nigāhoñ kā shahr thā
ham log totā-chashm mizājan na the magar
nazreñ badalne vaalī nigāhoñ kā shahr thā
koThe pe khāñstī huī buḌhiyā kī aañkh meñ
bīmār zindagī kī karāhoñ kā shahr thā
vo dūriyoñ ke ḳhauf se ghar meñ paḌā rahā
varna zarā idhar mirī hā hoñ kā shahr thā
mariyam sī barguzīda kisī maañ kā thā sarūp
ġhurbat meñ palne vaale gunāhoñ kā shahr thā
naghmon ka shahr tha kabhi aahon ka shahr tha
ye dil teri badalti nigahon ka shahr tha
hum log tota-chashm mizajan na the magar
nazren badalne wali nigahon ka shahr tha
koThe pe khansti hui buDhiya ki aankh mein
bimar zindagi ki karahon ka shahr tha
wo duriyon ke KHauf se ghar mein paDa raha
warna zara idhar meri ha hon ka shahr tha
mariyam si barguzida kisi man ka tha sarup
ghurbat mein palne wale gunahon ka shahr tha
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 297)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.