naghmon ke qafile ka main tanha naqib tha
naġhmoñ ke qāfile kā maiñ tanhā naqīb thā
yā shāḳh-e-kā.enāt pe ik andalīb thā
apnā koī rafīq na koī raqīb thā
maiñ ḳhvāhishoñ kī bazm meñ sab ke qarīb thā
ziine pe qasr-e-vaqt ke chaḌhtā chalā gayā
merā shikasta hausla jo ḳhush-nasīb thā
us ke badan se lipTī huī thī lahū kī shāḳh
vo shaḳhs jo ki shahr-e-anā kā ḳhatīb thā
thiiñ āsmāñ kī vus.ateñ apnī nigāh meñ
lamhāt-e-gum-shuda kā tasavvur ajiib thā
girdāb-e-hādsāt meñ ham phañs ke rah ga.e
jab sāhil-e-murād bahut hī qarīb thā
logoñ se mil rahī thī use raushnī kī bhiik
dil ke hasīñ dayār meñ 'jāmī' ġharīb thā
naghmon ke qafile ka main tanha naqib tha
ya shaKH-e-kaenat pe ek andalib tha
apna koi rafiq na koi raqib tha
main KHwahishon ki bazm mein sab ke qarib tha
zine pe qasr-e-waqt ke chaDhta chala gaya
mera shikasta hausla jo KHush-nasib tha
us ke badan se lipTi hui thi lahu ki shaKH
wo shaKHs jo ki shahr-e-ana ka KHatib tha
thin aasman ki wusaten apni nigah mein
lamhat-e-gum-shuda ka tasawwur ajib tha
girdab-e-hadsat mein hum phans ke rah gae
jab sahil-e-murad bahut hi qarib tha
logon se mil rahi thi use raushni ki bhik
dil ke hasin dayar mein 'jami' gharib tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.