nahin aate hain hum apni samajh mein
nahīñ aate haiñ ham apnī samajh meñ
to kaise ā.eñge sab kī samajh meñ
jise aatā na ho paanī samajh meñ
use kyā aa.egī machhlī samajh meñ
maiñ apne naam kī taḳhtī nahīñ huuñ
ki jo aa jaa.e paḌhte hī samajh meñ
tumheñ chāñd aur tāroñ kī paḌī hai
hameñ aatī nahīñ miTTī samajh meñ
jo tum se der tak bāteñ karegā
nahīñ aa.egā vo jaldī samajh meñ
kisī kā āḳhirī ḳhat paḌh liyā hai
nahīñ aa.egā ab kuchh bhī samajh meñ
vahī to dāstāñ rahtī hai zinda
ki jo aatī nahīñ puurī samajh meñ
badal kar rakh diyā manzar ḳhizāñ ne
abhī aa.ī hī thī titlī samajh meñ
nahin aate hain hum apni samajh mein
to kaise aaenge sab ki samajh mein
jise aata na ho pani samajh mein
use kya aaegi machhli samajh mein
main apne nam ki taKHti nahin hun
ki jo aa jae paDhte hi samajh mein
tumhein chand aur taron ki paDi hai
hamein aati nahin miTTi samajh mein
jo tum se der tak baaten karega
nahin aaega wo jaldi samajh mein
kisi ka aaKHiri KHat paDh liya hai
nahin aaega ab kuchh bhi samajh mein
wahi to dastan rahti hai zinda
ki jo aati nahin puri samajh mein
badal kar rakh diya manzar KHizan ne
abhi aai hi thi titli samajh mein
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 38)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.