nahin akbar yahan mujh sher ki KHwahan bayani se
nahin akbar yahan mujh sher ki KHwahan bayani se
Abaan Asif Kachkar
MORE BYAbaan Asif Kachkar
nahīñ akbar yahāñ mujh sher kī ḳhvāhāñ bayānī se
zi-bas maqdūr hai maqdūr par mātam zabānī se
gah-e-hastī kahīñ zāhir patā ham sar se laave hai
dhuāñ uThtā hai phir pas az fanā soz-e-nihānī se
tahī dil jān-e-mā guzrī to kyā ghabrā ke pūchho ho
abas dil nā-tavāñ guzrā sarāpā nā-tavānī se
havā kī shauq-e-mai uḌ jaave hai ḳhām-e-ḳhayālī ko
ubūr-e-abr tūlānī ki barse mai-fishānī se
unhoñ ke vāda-e-fardā ko gar imroz mil jaatā
divānā mar nahīñ jaatā jo mil jaatā divānī se
ḳhamoshī bhar rahī hai dard apnā ginte jaate haiñ
davā bezār rahtī hai ḳhudāyā sargirānī se
munāfiq ab kahāñ dushman kī samt-e-rah se jā laage
evaz dushman bane hai yaañ munāfiq bad-gumānī se
suḳhan-var haiñ bahut achchhe kitāboñ se churāve jo
'abān' ko dekh likhtā hai tabī.at kī ravānī se
nahin akbar yahan mujh sher ki KHwahan bayani se
zi-bas maqdur hai maqdur par matam zabani se
gah-e-hasti kahin zahir pata hum sar se lawe hai
dhuan uThta hai phir pas az fana soz-e-nihani se
tahi dil jaan-e-ma guzri to kya ghabra ke puchho ho
abas dil na-tawan guzra sarapa na-tawani se
hawa ki shauq-e-mai uD jawe hai KHam-e-KHayali ko
ubur-e-abr tulani ki barse mai-fishani se
unhon ke wada-e-farda ko gar imroz mil jata
diwana mar nahin jata jo mil jata diwani se
KHamoshi bhar rahi hai dard apna ginte jate hain
dawa bezar rahti hai KHudaya sargirani se
munafiq ab kahan dushman ki samt-e-rah se ja lage
ewaz dushman bane hai yan munafiq bad-gumani se
suKHan-war hain bahut achchhe kitabon se churawe jo
'aban' ko dekh likhta hai tabiat ki rawani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.