nahin aur kuchh mere dil ki kahani
nahīñ aur kuchh mere dil kī kahānī
ki dekhī nahīñ umr bhar shādmānī
kabhī ham ne rāh-e-vafā ko na chhoḌā
hamesha sunī husn kī lan-tarānī
abas ye shikāyat ki nākāmiyāñ haiñ
nahīñ qismat-e-ishq meñ kāmrānī
tumhārī talab meñ hamesha rahī hai
mayassar hameñ gardish-e-āsmānī
tumhāre irādoñ ko ham kyā samajhte
tumhārī nigāhoñ ne kī tarjumānī
tumhārā tabassum are tauba tauba
hazāroñ bahāroñ kī hai gul-fishānī
luTā dil kahāñ aur kis vaqt 'jauhar'
nigāheñ to kartī rahīñ pāsbānī
nahin aur kuchh mere dil ki kahani
ki dekhi nahin umr bhar shadmani
kabhi hum ne rah-e-wafa ko na chhoDa
hamesha suni husn ki lan-tarani
abas ye shikayat ki nakaamiyan hain
nahin qismat-e-ishq mein kaamrani
tumhaari talab mein hamesha rahi hai
mayassar hamein gardish-e-asmani
tumhaare iradon ko hum kya samajhte
tumhaari nigahon ne ki tarjumani
tumhaara tabassum are tauba tauba
hazaron bahaaron ki hai gul-fishani
luTa dil kahan aur kis waqt 'jauhar'
nigahen to karti rahin pasbani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.