nahin band-e-qaba mein tan hamara
nahīñ band-e-qabā meñ tan hamārā
hai uryānī hī pairāhan hamārā
rakheñ apne ta.iiñ ham kis tarah dost
ho tujh sā shaḳhs jab dushman hamārā
haiñ ye kāhīda ham ġham se ki juuñ sham.a
hai ek ab jeb aur dāman hamārā
nazar meñ ka.aba kyā Thahre ki yaañ dair
rahā hai muddatoñ maskan hamārā
chaman meñ gar hai tū bulbul to min-ba.ad
haiñ ham aur gosha-e-gulḳhan hamārā
bahār-e-dāġh thī jab dil pe 'qā.em'
ajab sarsabz thā gulshan hamārā
nahin band-e-qaba mein tan hamara
hai uryani hi pairahan hamara
rakhen apne tain hum kis tarah dost
ho tujh sa shaKHs jab dushman hamara
hain ye kahida hum gham se ki jun shama
hai ek ab jeb aur daman hamara
nazar mein kaba kya Thahre ki yan dair
raha hai muddaton maskan hamara
chaman mein gar hai tu bulbul to min-baad
hain hum aur gosha-e-gulKHan hamara
bahaar-e-dagh thi jab dil pe 'qaem'
ajab sarsabz tha gulshan hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.