nahin bologe han hun to rawani TuT jaegi
nahīñ bologe haañ huuñ to ravānī TuuT jā.egī
agar tum so ga.e merī kahānī TuuT jā.egī
ḳhudā ke vāste mere usūloñ se na khelo tum
yahī ik hai buzurgoñ kī nishānī TuuT jā.egī
bahut maġhrūr hai dariyā abhī apnī javānī par
samundar meñ utarte hī ravānī Tuut jā.egī
hamārī zindagī hai ik patang aur maut āñdhī hai
bahut kamzor hai sāñsoñ kī taanī Tuut jā.egī
sabhī madh-makkhiyoñ ko mārne kī kyā zarūrat hai
vo ḳhud hī haar jā.eñgī jo raanī Tuut jā.egī
ziyāda dil kī lorry meñ ġhamoñ kā bojh mat laado
mire sabr-o-tahammul kī kamānī Tuut jā.egī
ġhalat rāhoñ kī lazzat se zarā bach kar nikal varna
javānī aane se pahle javānī Tuut jā.egī
unheñ le kar mujhe 'aḳhlāq' shopping mall jaanā hai
nahīñ jā.ūñgā to singār-dānī Tuut jā.egī
nahin bologe han hun to rawani TuT jaegi
agar tum so gae meri kahani TuT jaegi
KHuda ke waste mere usulon se na khelo tum
yahi ek hai buzurgon ki nishani TuT jaegi
bahut maghrur hai dariya abhi apni jawani par
samundar mein utarte hi rawani Tut jaegi
hamari zindagi hai ek patang aur maut aandhi hai
bahut kamzor hai sanson ki tani Tut jaegi
sabhi madh-makkhiyon ko marne ki kya zarurat hai
wo KHud hi haar jaengi jo rani Tut jaegi
ziyaada dil ki lorry mein ghamon ka bojh mat lado
mere sabr-o-tahammul ki kamani Tut jaegi
ghalat rahon ki lazzat se zara bach kar nikal warna
jawani aane se pahle jawani Tut jaegi
unhen le kar mujhe 'aKHlaq' shopping mall jaana hai
nahin jaunga to singar-dani Tut jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.