Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin haal-e-dehli sunane ke qabil

Hakeem Aagha Jan Aish

nahin haal-e-dehli sunane ke qabil

Hakeem Aagha Jan Aish

MORE BYHakeem Aagha Jan Aish

    nahīñ hāl-e-dehlī sunāne ke qābil

    ye qissa hai aañsū bahāne ke qābil

    ujāḌe haiñ vo qasr ek ek us ke

    jo the dekhne aur dikhāne ke qābil

    na aa.ī ḳhush ābādī un falak ko

    na the varna vo to miTāne ke qābil

    na paayā koī aur in ke sivā kyā

    falak kyā vahī the satāne ke qābil

    kiyā aah barbād chun chun ke in ko

    na the jo ki barbād jaane ke qābil

    milāyā jinheñ ḳhaak meñ ne vo to

    na the ḳhaak meñ yuuñ milāne ke qābil

    nahīñ ghus lagāne ko chiḌiyā talak vo

    jahāñ jam.a the ik zamāne ke qābil

    sitam sitam ne Dhāyā hai zālim

    nahīñ baat ye muñh pe laane ke qābil

    unheñ ḳhāk-e-zillat pe Tapkā hai the vo

    jo āñkhoñ ke uupar biThāne ke qābil

    kaheñ haiñ sab ahbāb dehlī ko chaliye

    rahī hai kahāñ ab vo jaane ke qābil

    jise dekh kahte the sayyāh-e-ālam

    ye hai jā-e-ārām paane ke qābil

    use dekh bulbul bhī kahtī hai ye

    nahīñ āshiyāñ ab banāne ke qābil

    sunā jis ne ye haal afsos khāyā

    ye hai haal afsos khāne ke qābil

    ilāhī basā phir apne karam se

    use kyūñki hai vo basāne ke qābil

    dukhā.e haiñ afsos vo dil falak ne

    na the 'aish' jo dil dukhāne ke qābil

    nahin haal-e-dehli sunane ke qabil

    ye qissa hai aansu bahane ke qabil

    ujaDe hain wo qasr ek ek us ke

    jo the dekhne aur dikhane ke qabil

    na aai KHush aabaadi un ki falak ko

    na the warna wo to miTane ke qabil

    na paya koi aur in ke siwa kya

    falak kya wahi the satane ke qabil

    kiya aah barbaad chun chun ke in ko

    na the jo ki barbaad jaane ke qabil

    milaya jinhen KHak mein tu ne wo to

    na the KHak mein yun milane ke qabil

    nahin ghus lagane ko chiDiya talak wo

    jahan jama the ek zamane ke qabil

    sitam sa sitam tu ne Dhaya hai zalim

    nahin baat ye munh pe lane ke qabil

    unhen KHak-e-zillat pe Tapka hai the wo

    jo aankhon ke upar biThane ke qabil

    kahen hain sab ahbab dehli ko chaliye

    rahi hai kahan ab wo jaane ke qabil

    jise dekh kahte the sayyah-e-alam

    ye hai ja-e-aram pane ke qabil

    use dekh bulbul bhi kahti hai ye ja

    nahin aashiyan ab banane ke qabil

    suna jis ne ye haal afsos khaya

    ye hai haal afsos khane ke qabil

    ilahi basa phir tu apne karam se

    use kyunki hai wo basane ke qabil

    dukhae hain afsos wo dil falak ne

    na the 'aish' jo dil dukhane ke qabil

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now