nahin hai ghar koi be-ghar dikhai deta hai
nahīñ hai ghar koī be-ghar dikhā.ī detā hai
jo mujh ko ḳhvāb meñ aksar dikhā.ī detā hai
bhulā chukā hai mohabbat kī tai-shuda sharteñ
vo jis ke haath meñ ḳhanjar dikhā.ī detā hai
vahīñ pe shajr-e-mohabbat kī chhāñv qatl huī
jahāñ pe dhuup kā lashkar dikhā.ī detā hai
milegā kyā koī pursān-e-hāl raat ga.e
har ek lamha sitamgar dikhā.ī detā hai
huī haiñ kaise fanā jaane sar-phirī maujeñ
bujhā-bujhā sā samundar dikhā.ī detā hai
na sun sakegā koī bhī mirī sadā 'māñjhī'
ye shahr ghaaT kā patthar dikhā.ī detā hai
nahin hai ghar koi be-ghar dikhai deta hai
jo mujh ko KHwab mein aksar dikhai deta hai
bhula chuka hai mohabbat ki tai-shuda sharten
wo jis ke hath mein KHanjar dikhai deta hai
wahin pe shajr-e-mohabbat ki chhanw qatl hui
jahan pe dhup ka lashkar dikhai deta hai
milega kya koi pursan-e-haal raat gae
har ek lamha sitamgar dikhai deta hai
hui hain kaise fana jaane sar-phiri maujen
bujha-bujha sa samundar dikhai deta hai
na sun sakega koi bhi meri sada 'manjhi'
ye shahr ghaT ka patthar dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.