nahin hai koi chaman qalb-e-dagh-dar ke baad
nahīñ hai koī chaman qalb-e-dāġh-dār ke baad
yahāñ ḳhizāñ nahīñ aatī kabhī bahār ke baad
bahār par thā chaman thā chaman meñ josh-e-bahār
bahār ke ye karishme the aur bahār ke baad
sukūñ-badosh ghaḌī do hī guzrī haiñ mujh par
ik intizār se pahle ik intizār ke baad
satā le rindoñ ko vaa.iz satā le jī bhar ke
rahegā tū na kahīñ kā ḳhudā kī maar ke baad
kuchh aur josh meñ laatā hai us kī rahmat ko
gunāhgār kā aanā gunāhgār ke baad
latāfatoñ ne bhī zaḳhmoñ pe mere chhiḌkā namak
batāyā rang har ik gul ne mujh ko ḳhaar ke baad
chhupā.e baiThe the rusvā.iyoñ meñ rāz-e-ḳhudī
ham aa.e sāmne 'ḳhizr' imtihān-e-dār ke baad
nahin hai koi chaman qalb-e-dagh-dar ke baad
yahan KHizan nahin aati kabhi bahaar ke baad
bahaar par tha chaman tha chaman mein josh-e-bahaar
bahaar ke ye karishme the aur bahaar ke baad
sukun-badosh ghaDi do hi guzri hain mujh par
ek intizar se pahle ek intizar ke baad
sata le rindon ko waiz sata le ji bhar ke
rahega tu na kahin ka KHuda ki mar ke baad
kuchh aur josh mein lata hai us ki rahmat ko
gunahgar ka aana gunahgar ke baad
latafaton ne bhi zaKHmon pe mere chhiDka namak
bataya rang har ek gul ne mujh ko KHar ke baad
chhupae baiThe the ruswaiyon mein raaz-e-KHudi
hum aae samne 'KHizr' imtihan-e-dar ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.