nahin hai pas magar tu dikhai deta hai
nahīñ hai paas magar tū dikhā.ī detā hai
tirā ḳhayāl mujhe kab rihā.ī detā hai
tire laboñ se adā ho agar koī jumla
mujhe vo sher kī sūrat sunā.ī detā hai
mirā gumān badal jaatā hai haqīqat meñ
baġhair pūchhe jab apnī safā.ī detā hai
ghaTā bhī de ye judā.ī kā be-samar mausam
bhalā tū kyoñ mujhe zaḳhm-e-judā.ī detā hai
qarīb aa ke faqat ek fikr lāhaq hai
vo dil tak apne mujhe kab rasā.ī detā hai
mire rafīq mire ġham-gusār tū hī batā
har ek chehre meñ vo kyoñ dikhā.ī detā hai
mirī kitāb kī koī ġhazal uThā le tū
har ek sher kā misrā duhā.ī detā hai
jo merī maane to 'farruḳh' use bhulā de ab
vafā ke badle meñ jo bevafā.ī detā hai
nahin hai pas magar tu dikhai deta hai
tera KHayal mujhe kab rihai deta hai
tere labon se ada ho agar koi jumla
mujhe wo sher ki surat sunai deta hai
mera guman badal jata hai haqiqat mein
baghair puchhe jab apni safai deta hai
ghaTa bhi de ye judai ka be-samar mausam
bhala tu kyon mujhe zaKHm-e-judai deta hai
qarib aa ke faqat ek fikr lahaq hai
wo dil tak apne mujhe kab rasai deta hai
mere rafiq mere gham-gusar tu hi bata
har ek chehre mein wo kyon dikhai deta hai
meri kitab ki koi ghazal uTha le tu
har ek sher ka misra duhai deta hai
jo meri mane to 'farruKH' use bhula de ab
wafa ke badle mein jo bewafai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.