nahin hai yaad kahan aur kidhar mila tha mujhe
nahīñ hai yaad kahāñ aur kidhar milā thā mujhe
vo bad-tamīz adab se magar milā thā mujhe
vagarna maiñ to nahīñ huuñ chhupā huā ḳhud se
milā thā jo bhī tire naam par milā thā mujhe
jo kar diyā hai yahī thā mire liye mumkin
ki vaqt bhī to bahut muḳhtasar milā thā mujhe
phir us ke baa'd mujhe aa gayā thā hañsnā bhī
maiñ ro rahā thā ki jab ḳhush-ḳhabar milā thā mujhe
milā nahīñ thā mujhe umr bhar vo DhūñDne se
magar milā to sar-e-rahguzar milā thā mujhe
achānak us kī nazar mujh pe paḌ ga.ī thī kyā
vo kaam chhoḌ ke sab dauḌ kar milā thā mujhe
'hanīf' roz-e-azal jab hunar hue taqsīm
to shā.irī hī kā shāyad hunar milā thā mujhe
nahin hai yaad kahan aur kidhar mila tha mujhe
wo bad-tamiz adab se magar mila tha mujhe
wagarna main to nahin hun chhupa hua KHud se
mila tha jo bhi tere nam par mila tha mujhe
jo kar diya hai yahi tha mere liye mumkin
ki waqt bhi to bahut muKHtasar mila tha mujhe
phir us ke ba'd mujhe aa gaya tha hansna bhi
main ro raha tha ki jab KHush-KHabar mila tha mujhe
mila nahin tha mujhe umr bhar wo DhunDne se
magar mila to sar-e-rahguzar mila tha mujhe
achanak us ki nazar mujh pe paD gai thi kya
wo kaam chhoD ke sab dauD kar mila tha mujhe
'hanif' roz-e-azal jab hunar hue taqsim
to shairi hi ka shayad hunar mila tha mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.