nahin hain dair-o-haram sahib-e-nazar ke liye
nahīñ haiñ dair-o-haram sāhib-e-nazar ke liye
machal rahī hai jabīñ tere sang-e-dar ke liye
hamāre paañv ke bose liye sitāroñ ne
tumhārī raah meñ nikle jo ham safar ke liye
ye kaisī anjuman-e-nāz hai ki dīvāne
taras rahe haiñ qarār-e-dil-o-nazar ke liye
sabā ye kūcha-e-jānāñ meñ jā ke kah denā
zarā sī ḳhaak mile surma-e-nazar ke liye
kisī kā soz-e-mohabbat fuzūñ rahe yārab
ye ik charāġh hī kaafī hai apne ghar ke liye
ḳhushā-nasīb ki vaqf-e-junūñ huā 'rif.at'
nahīñ hai sar mirā ai dost dar-ba-dar ke liye
nahin hain dair-o-haram sahib-e-nazar ke liye
machal rahi hai jabin tere sang-e-dar ke liye
hamare panw ke bose liye sitaron ne
tumhaari rah mein nikle jo hum safar ke liye
ye kaisi anjuman-e-naz hai ki diwane
taras rahe hain qarar-e-dil-o-nazar ke liye
saba ye kucha-e-jaanan mein ja ke kah dena
zara si KHak mile surma-e-nazar ke liye
kisi ka soz-e-mohabbat fuzun rahe yarab
ye ek charagh hi kafi hai apne ghar ke liye
KHusha-nasib ki waqf-e-junun hua 'rifat'
nahin hai sar mera ai dost dar-ba-dar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.