nahin hain is darja be-adab hum kahen jo un ke dahan nahin hai
nahin hain is darja be-adab hum kahen jo un ke dahan nahin hai
Naseem Dehlvi
MORE BYNaseem Dehlvi
nahīñ haiñ is darja be-adab ham kaheñ jo un ke dahan nahīñ hai
dahan to hai par hai tañg aisā ki jis meñ jā-e-suḳhan nahīñ hai
nahīñ haiñ muhtāj kuchh sabā ke yahāñ tak ab laash ghul ga.ī hai
ki ham ko kaafī hai nik.hat-e-gul ki is qadar bār-e-tan nahīñ hai
hue haiñ is darja be-nishāñ ham na justujū se mileñ kisī ko
ki haiñ ġhubār-e-sabā-parīda kahīñ hamārā vatan nahīñ hai
mile bhī ham ko jo chādar-e-shab to lāġharī se na kaam aa.e
kafan huā bhī agar mayassar to kyā kareñ ham-badan nahīñ hai
karo na minnat-kashī-e-īsā uThāo dast-e-duā ajal ko
shifā ho marham se jis ko hāsil vo merā dāġh-e-kuhan nahīñ hai
ga.e chaman meñ jo sair ko ham to ye kahā dil ne bostāñ meñ
bahār gulshan kī kaun dekhe ki bulbul-e-naġhma-zan nahīñ hai
jalā jo parvāna us ke ġham meñ to pās-e-shart-e-vafā ke baa.is
vo kaun shab hai jo ashk-e-paiham se sham.a kā pur lagan nahīñ hai
ye rahm-e-sayyād bhī sitam hai kare ḳhizāñ meñ jo vā qafas ko
bahār dekhegī kis kī bulbul ki ab vo lutf-e-chaman nahīñ hai
abas takalluf pas-e-fanā hai lahad pe be-chārgāñ kī ham-dam
hameñ to kaafī hai bū-e-sabza jo chādar-e-yāsman nahīñ hai
ye josh-e-vahshat hai in dinoñ meñ ki apne saa.e se huuñ ramīda
kahūñ jo ḳhud ko ġhazāl-e-vahshī to koī aisā hiran nahīñ hai
jo haiñ nazākat-pasand aalim kaheñge be-shak vo munsifī se
bahut haiñ ustād yuuñ to lekin 'nasīm' kā sā suḳhan nahīñ hai
nahin hain is darja be-adab hum kahen jo un ke dahan nahin hai
dahan to hai par hai tang aisa ki jis mein ja-e-suKHan nahin hai
nahin hain muhtaj kuchh saba ke yahan tak ab lash ghul gai hai
ki hum ko kafi hai nikhat-e-gul ki is qadar bar-e-tan nahin hai
hue hain is darja be-nishan hum na justuju se milen kisi ko
ki hain ghubar-e-saba-parida kahin hamara watan nahin hai
mile bhi hum ko jo chadar-e-shab to laghari se na kaam aae
kafan hua bhi agar mayassar to kya karen ham-badan nahin hai
karo na minnat-kashi-e-isa uThao dast-e-dua ajal ko
shifa ho marham se jis ko hasil wo mera dagh-e-kuhan nahin hai
gae chaman mein jo sair ko hum to ye kaha dil ne bostan mein
bahaar gulshan ki kaun dekhe ki bulbul-e-naghma-zan nahin hai
jala jo parwana us ke gham mein to pas-e-shart-e-wafa ke bais
wo kaun shab hai jo ashk-e-paiham se shama ka pur lagan nahin hai
ye rahm-e-sayyaad bhi sitam hai kare KHizan mein jo wa qafas ko
bahaar dekhegi kis ki bulbul ki ab wo lutf-e-chaman nahin hai
abas takalluf pas-e-fana hai lahad pe be-chaargan ki ham-dam
hamein to kafi hai bu-e-sabza jo chadar-e-yasman nahin hai
ye josh-e-wahshat hai in dinon mein ki apne sae se hun ramida
kahun jo KHud ko ghazal-e-wahshi to koi aisa hiran nahin hai
jo hain nazakat-pasand aalim kahenge be-shak wo munsifi se
bahut hain ustad yun to lekin 'nasim' ka sa suKHan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.