nahin hijr ka tere gham jaanta hun
nahīñ hijr kā tere ġham jāntā huuñ
tujhe dil se har-dam baham jāntā huuñ
sitam ko tire kab sitam jāntā huuñ
ināyāt lutf-o-karam jāntā huuñ
tū anjān hotā hai kyoñ mujh se jānāñ
bhalā jaan se kyā maiñ kam jāntā huuñ
duī duur hotī hai jis vaqt dil se
ye tan apnā baitul-haram jāntā huuñ
mujhe kaam dair-o-haram se nahīñ hai
yahī sūrat apnī sanam jāntā huuñ
do aalam kī hastī hai mauhūm saarī
jise dekhtā huuñ adam jāntā huuñ
tire zikr se huuñ maiñ ḳhāmosh lekin
badal fikr se dam-ba-dam jāntā huuñ
nahin hijr ka tere gham jaanta hun
tujhe dil se har-dam baham jaanta hun
sitam ko tere kab sitam jaanta hun
inayat lutf-o-karam jaanta hun
tu anjaan hota hai kyon mujh se jaanan
bhala jaan se kya main kam jaanta hun
dui dur hoti hai jis waqt dil se
ye tan apna baitul-haram jaanta hun
mujhe kaam dair-o-haram se nahin hai
yahi surat apni sanam jaanta hun
do aalam ki hasti hai mauhum sari
jise dekhta hun adam jaanta hun
tere zikr se hun main KHamosh lekin
badal fikr se dam-ba-dam jaanta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.