nahin jati agar ye aasman tak
nahīñ jaatī agar ye āsmāñ tak
to phir is chīḳh kī had hai kahāñ tak
chalo paanī se vo sho.ala nikāleñ
uThā.e jo zamīñ ko āsmāñ tak
ab agle moḌ par pātāl hogā
yaqīñ se aa gayā huuñ maiñ gumāñ tak
zamāne ko samajh paayā nahīñ huuñ
maiñ samjhātā rahūñ ḳhud ko kahāñ tak
ajab ik khel khelā jā rahā hai
na thā jis kā hameñ koī gumāñ tak
bahut hī ḳhūbsūrat rāsta hai
jo sīdhā jā rahā hai rā.egāñ tak
zamīñ ke baab meñ kuchh mashvare haiñ
zarā maiñ jā rahā huuñ āsmāñ tak
nahin jati agar ye aasman tak
to phir is chiKH ki had hai kahan tak
chalo pani se wo shoala nikalen
uThae jo zamin ko aasman tak
ab agle moD par patal hoga
yaqin se aa gaya hun main guman tak
zamane ko samajh paya nahin hun
main samjhata rahun KHud ko kahan tak
ajab ek khel khela ja raha hai
na tha jis ka hamein koi guman tak
bahut hi KHubsurat rasta hai
jo sidha ja raha hai raegan tak
zamin ke bab mein kuchh mashware hain
zara main ja raha hun aasman tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.