nahin ki baad tere dusra nahin aaya
nahīñ ki baa'd tire dūsrā nahīñ aayā
jo ziist ko thā mayassar maza nahīñ aayā
bichhaḌ gayā hai to aise palaT ke aayā nahīñ
vagarna raah meñ tūfān kyā nahīñ aayā
bas ek raat qayāmat sī mujh ko thī darpesh
phir is ke baa'd koī marhala nahīñ aayā
maiñ apnī aadhī mohabbat pe ab huuñ girya-kunāñ
mujhe to Dhang koī 'mīr' sā nahīñ aayā
jahāñ se aayā thā tū dil kisī kī aas liye
udāsiyoñ meñ vahīñ lauT jā nahīñ aayā
abhī tū aas kī sham.oñ kī lau bujhā hī de
vo jis ke aane kā imkān thā nahīñ aayā
agarche us se baḌī muddatoñ se rabt nahīñ
diloñ ke biich magar fāsla nahīñ aayā
vo aur hoñge jinheñ chāñd aur taare mile
yahāñ to hisse meñ TuuTā diyā nahīñ aayā
'rashīd' mujh se mire nāma-bar ne hañs ke kahā
koī bhī naama tire naam kā nahīñ aayā
nahin ki ba'd tere dusra nahin aaya
jo zist ko tha mayassar maza nahin aaya
bichhaD gaya hai to aise palaT ke aaya nahin
wagarna rah mein tufan kya nahin aaya
bas ek raat qayamat si mujh ko thi darpesh
phir is ke ba'd koi marhala nahin aaya
main apni aadhi mohabbat pe ab hun girya-kunan
mujhe to Dhang koi 'mir' sa nahin aaya
jahan se aaya tha tu dil kisi ki aas liye
udasiyon mein wahin lauT ja nahin aaya
abhi tu aas ki shamon ki lau bujha hi de
wo jis ke aane ka imkan tha nahin aaya
agarche us se baDi muddaton se rabt nahin
dilon ke bich magar fasla nahin aaya
wo aur honge jinhen chand aur tare mile
yahan to hisse mein TuTa diya nahin aaya
'rashid' mujh se mere nama-bar ne hans ke kaha
koi bhi nama tere nam ka nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.