nahin ki tab koi kaghaz qalam na hota tha
nahīñ ki tab koī kāġhaz qalam na hotā thā
vo husn hī thā qayāmat raqam na hotā thā
har aadmī ko vahāñ miltī us ke kaam kī daad
ḳhudā kā naam ḳhudā kī qasam na hotā thā
to kyā sunātā farishtoñ ko maiñ kalām-e-jahāñ
kisī kī bātoñ meñ pahlū-e-zam na hotā thā
zarā sī pī thī kabhī jāhiloñ ke saath sharāb
nasha thā 'ilm kā aisā ki kam na hotā thā
do ek baar to jiite bhī khel khel meñ ham
magar malāl zarā besh-o-kam na hotā thā
hameñ hī marnā paḌā apnā haal likhne ko
kisī kā dard kisī se raqam na hotā thā
bahā.e jaatā thā sailāb āñsuoñ kā hameñ
kisī kī aañkh kā konā bhī nam na hotā thā
nahin ki tab koi kaghaz qalam na hota tha
wo husn hi tha qayamat raqam na hota tha
har aadmi ko wahan milti us ke kaam ki dad
KHuda ka nam KHuda ki qasam na hota tha
to kya sunata farishton ko main kalam-e-jahan
kisi ki baaton mein pahlu-e-zam na hota tha
zara si pi thi kabhi jahilon ke sath sharab
nasha tha 'ilm ka aisa ki kam na hota tha
do ek bar to jite bhi khel khel mein hum
magar malal zara besh-o-kam na hota tha
hamein hi marna paDa apna haal likhne ko
kisi ka dard kisi se raqam na hota tha
bahae jata tha sailab aansuon ka hamein
kisi ki aankh ka kona bhi nam na hota tha
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 82)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.