nahin ki wo mujhe tanha udas chhoD gaya
nahīñ ki vo mujhe tanhā udaas chhoḌ gayā
mire navāh ko bhī vaqf-e-yās chhoḌ gayā
adā ho us kī navāzish kā shukriya kyūñkar
jo de ke mujh ko ġham-e-be-qayās chhoḌ gayā
vafā kī raah meñ qurbān ho ke vo mujh ko
bhare jahān meñ vaqf-e-hirās chhoḌ gayā
ye mere haal pe us ke karam kī arzānī
jo gahrī yaas meñ thoḌī sī aas chhoḌ gayā
atā-e-husn-shanāsī ke baa'd vo mujh ko
jahān-e-husn meñ bahr-e-sipās chhoḌ gayā
luTā ke jalva-e-ruḳhsār-o-lab kī rangīnī
vo phuul phuul ko rangīñ libās chhoḌ gayā
mire ḳhulūs ko hāsil thā e.atibār us kā
vo mere dil meñ ġhamoñ kī asaas chhoḌ gayā
us ek bosa-e-ruḳhsat kī lazzat-āgīnī
jo mere hoñToñ pe sadiyoñ kī pyaas chhoḌ gayā
vo apne husn ko hamrāh le gayā lekin
hazār husn mire ās-pās chhoḌ gayā
ajiib tohfa hai us kī taraf se mere liye
kitāb-e-ishq kā jo iqtibās chhoḌ gayā
judā.ī us kī baḌī talḳh hai magar 'maġhmūm
mirī navā meñ vo apnī miThās chhoḌ gayā
nahin ki wo mujhe tanha udas chhoD gaya
mere nawah ko bhi waqf-e-yas chhoD gaya
ada ho us ki nawazish ka shukriya kyunkar
jo de ke mujh ko gham-e-be-qayas chhoD gaya
wafa ki rah mein qurban ho ke wo mujh ko
bhare jahan mein waqf-e-hiras chhoD gaya
ye mere haal pe us ke karam ki arzani
jo gahri yas mein thoDi si aas chhoD gaya
ata-e-husn-shanasi ke ba'd wo mujh ko
jahan-e-husn mein bahr-e-sipas chhoD gaya
luTa ke jalwa-e-ruKHsar-o-lab ki rangini
wo phul phul ko rangin libas chhoD gaya
mere KHulus ko hasil tha eatibar us ka
wo mere dil mein ghamon ki asas chhoD gaya
us ek bosa-e-ruKHsat ki lazzat-agini
jo mere honTon pe sadiyon ki pyas chhoD gaya
wo apne husn ko hamrah le gaya lekin
hazar husn mere aas-pas chhoD gaya
ajib tohfa hai us ki taraf se mere liye
kitab-e-ishq ka jo iqtibas chhoD gaya
judai us ki baDi talKH hai magar 'maghmum
meri nawa mein wo apni miThas chhoD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.