nahin ki qubul mudaKHalat na yasar se na yamin se
nahin ki qubul mudaKHalat na yasar se na yamin se
Naz Muzaffarabadi
MORE BYNaz Muzaffarabadi
nahīñ kī qubūl mudāḳhalat na yasār se na yamīn se
jo kiyā hai achchhā burā amal vo kiyā hai apne yaqīn se
mujhe chāñd tāroñ kī bazm meñ na talāsh kar ki abhī talak
mujhe apnī miTTī se pyaar hai mirā rābta hai zamīn se
mujhe ek baar nikāl ke ye jo phir bulāyā hai ḳhuld meñ
to phir is ke ma.anī yahī hue hai sharaf makāñ ko makīn se
koī shak nahīñ na.e daur meñ gayā āsmān pe aadmī
magar aaj tak nahīñ kar sakā kisī dil ko fat.h machine se
mirī qaum-o-mulk ke rāhbar zarā aql-o-hosh se kaam le
vahī log tere qarīb haiñ jinheñ bair hai mire diin se
nahin ki qubul mudaKHalat na yasar se na yamin se
jo kiya hai achchha bura amal wo kiya hai apne yaqin se
mujhe chand taron ki bazm mein na talash kar ki abhi talak
mujhe apni miTTi se pyar hai mera rabta hai zamin se
mujhe ek bar nikal ke ye jo phir bulaya hai KHuld mein
to phir is ke mani yahi hue hai sharaf makan ko makin se
koi shak nahin nae daur mein gaya aasman pe aadmi
magar aaj tak nahin kar saka kisi dil ko fath machine se
meri qaum-o-mulk ke rahbar zara aql-o-hosh se kaam le
wahi log tere qarib hain jinhen bair hai mere din se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.