nahin kuchh bhi karne se baz aa gaya kya
nahīñ kuchh bhī karne se baaz aa gayā kyā
ye dil apnī fursat se uktā gayā kyā
koī mujh asīr-e-havas ko ye pūchhe
sukūñ mil gayā kyā qarār aa gayā kyā
vo jis baat par tum ne parkhī hai duniyā
kabhī ḳhud ko bhī āzmāyā gayā kyā
hai chup chup sā kyoñ bazm-e-yārāñ kā 'ālam
jo kahnā nahīñ thā vo bolā gayā kyā
tire saath rah kar bhī auroñ ke the ham
ḳhayāl aur kuchh thā pe sochā gayā kyā
har ik baat par itnī qasmeñ na khaao
tumhārā koī jhuuT pakḌā gayā kyā
'amar' lā-ubālī tabī'at kā mālik
ḳhud apne taġhāful se maarā gayā kyā
nahin kuchh bhi karne se baz aa gaya kya
ye dil apni fursat se ukta gaya kya
koi mujh asir-e-hawas ko ye puchhe
sukun mil gaya kya qarar aa gaya kya
wo jis baat par tum ne parkhi hai duniya
kabhi KHud ko bhi aazmaya gaya kya
hai chup chup sa kyon bazm-e-yaran ka 'alam
jo kahna nahin tha wo bola gaya kya
tere sath rah kar bhi auron ke the hum
KHayal aur kuchh tha pe socha gaya kya
har ek baat par itni qasmen na khao
tumhaara koi jhuT pakDa gaya kya
'amar' la-ubaali tabi'at ka malik
KHud apne taghaful se mara gaya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.