nahin malum raaton ka andhera kis ko takta hai
nahīñ mā'lūm rātoñ kā añdherā kis ko taktā hai
hamārā sar misāl-e-mehr neze par chamaktā hai
vafūr-e-tishnagī ne kis balā kā sehr phūñkā thā
samandar aaj tak mere ta'āqub meñ bhaTaktā hai
rageñ barbat kī TūTeñ zaḳhma-gar kī ḳhud-sarā.ī se
ḳharosh-e-nāla-e-ġham mahfiloñ meñ sar paTaktā hai
havā-e-jazba-e-tā’mīr ne bastī miTā Daalī
havā-e-shorish-e-taḳhrīb se jangal mahaktā hai
isī dīvāngī meñ manzileñ gum ho ga.iiñ mujh se
mirā ham-zād mere saath kitnā dauḌ saktā hai
na jaane ham se kyā kahne ko aa.ī hai ye tanhā.ī
ka.ī din se zabāñ par qufl hai hoñToñ pe sakta hai
'urūj' aisī diloñ meñ chāñdnī pahle na phailī thī
na jaane kaun mahvash apne dāman ko jhaTaktā hai
nahin ma'lum raaton ka andhera kis ko takta hai
hamara sar misal-e-mehr neze par chamakta hai
wafur-e-tishnagi ne kis bala ka sehr phunka tha
samandar aaj tak mere ta'aqub mein bhaTakta hai
ragen barbat ki TuTen zaKHma-gar ki KHud-sarai se
KHarosh-e-nala-e-gham mahfilon mein sar paTakta hai
hawa-e-jazba-e-ta’mir ne basti miTa Dali
hawa-e-shorish-e-taKHrib se jangal mahakta hai
isi diwangi mein manzilen gum ho gain mujh se
mera ham-zad mere sath kitna dauD sakta hai
na jaane hum se kya kahne ko aai hai ye tanhai
kai din se zaban par qufl hai honTon pe sakta hai
'uruj' aisi dilon mein chandni pahle na phaili thi
na jaane kaun mahwash apne daman ko jhaTakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.