nahin malum ab ki sal mai-KHane pe kya guzra
nahin malum ab ki sal mai-KHane pe kya guzra
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
nahīñ ma.alūm ab kī saal mai-ḳhāne pe kyā guzrā
hamāre tauba kar lene se paimāne pe kyā guzrā
barahman sar ko apne pīTtā thā dair ke aage
ḳhudā jaane tirī sūrat se but-ḳhāne pe kyā guzrā
mujhe zanjīr kar rakkhā hai un shahrī ġhazāloñ ne
nahīñ ma.alūm mere ba.ad vīrāne pe kyā guzrā
hue haiñ chuur mere ustuḳhvāñ patthar se Takrā ke
na pūchhā ye kabhī tū ne ki dīvāne pe kyā guzrā
'yaqīñ' kab yaar mere soz-e-dil kī daad ko pahuñche
kahāñ hai sham.a ko parvā ki parvāne pe kyā guzrā
nahin malum ab ki sal mai-KHane pe kya guzra
hamare tauba kar lene se paimane pe kya guzra
barahman sar ko apne piTta tha dair ke aage
KHuda jaane teri surat se but-KHane pe kya guzra
mujhe zanjir kar rakkha hai un shahri ghazalon ne
nahin malum mere baad virane pe kya guzra
hue hain chur mere ustuKHwan patthar se Takra ke
na puchha ye kabhi tu ne ki diwane pe kya guzra
'yaqin' kab yar mere soz-e-dil ki dad ko pahunche
kahan hai shama ko parwa ki parwane pe kya guzra
- Book : Ghazal Usne Chhedi (Part-1) (Pg. 197)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.