nahin malum kyon nyara lage hai
nahīñ mā'lūm kyoñ nyārā lage hai
sitam-gar hai magar pyārā lage hai
nazar qātil adā.eñ jān-levā
badūñ hathiyār hattyārā lage hai
ġhazab meñ vo jalāl-e-mehr-e-tābāñ
tabassum meñ vo mah-pāra lage hai
jigar thāme khaḌā hai rāste meñ
ye koī dard kā maarā lage hai
bahut ummīd ne dhoke diye haiñ
baḌī makkār ayyāra lage hai
jamāl-ārā.ī kā hai ab ye 'ālam
hai sin sattar kā aTThārah lage hai
ḳhudā sab kā ḳhudā hai shaiḳh sāhab
vahī merā jo tum.hārā lage hai
'adū kyoñ aaj hai mahfil se ġhā.eb
huā nau aur do gyārah lage hai
safar kam muḳhtasar hai zindagī kā
ki 'arsa 'umr kā saarā lage hai
havā meñ mahl sab kyoñ haiñ banāte
na patthar iiñT aur gaarā lage hai
huā ehsās-e-tanhā.ī ziyāda
baje haiñ raat ke baara lage hai
vafūr-e-ārzū-e-vasl 'shāhid'
fasād-e-nafs kā maarā lage hai
nahin ma'lum kyon nyara lage hai
sitam-gar hai magar pyara lage hai
nazar qatil adaen jaan-lewa
badun hathiyar hattyara lage hai
ghazab mein wo jalal-e-mehr-e-taban
tabassum mein wo mah-para lage hai
jigar thame khaDa hai raste mein
ye koi dard ka mara lage hai
bahut ummid ne dhoke diye hain
baDi makkar ayyara lage hai
jamal-arai ka hai ab ye 'alam
hai sin sattar ka aTThaarah lage hai
KHuda sab ka KHuda hai shaiKH sahab
wahi mera jo tumhaara lage hai
'adu kyon aaj hai mahfil se ghaeb
hua nau aur do gyarah lage hai
safar kam muKHtasar hai zindagi ka
ki 'arsa 'umr ka sara lage hai
hawa mein mahl sab kyon hain banate
na patthar inT aur gara lage hai
hua ehsas-e-tanhai ziyaada
baje hain raat ke bara lage hai
wafur-e-arzu-e-wasl 'shahid'
fasad-e-nafs ka mara lage hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.