nahin malum wo apni wafa ko kya samajhte hain
nahīñ ma.alūm vo apnī vafā ko kyā samajhte haiñ
tire inkār karne ko bhī jo va.adā samajhte haiñ
zamāne ko tumhārā aur tumheñ apnā samajhte haiñ
agar aisā samajhte haiñ to kyā bejā samajhte haiñ
na pūchho ham mohabbat kī ḳhalish ko kyā samajhte haiñ
ye vo ne.amat hai jis ko hāsil-e-duniyā samajhte haiñ
pahuñch jaane meñ un tak hai to bas ye zindagī haa.il
ham apnī saañs ko bhī raah kā kāñTā samajhte haiñ
zamīñ se sar uThāte hī nigāheñ chaar ho jaa.eñ
haqīqat meñ usī sajde ko ham sajda samajhte haiñ
sunānā thā dil-e-betāb kā qissa sunā Daalā
vo sun kar dekhiye kyā sochte haiñ kyā samajhte haiñ
unhīñ ke vāste haiñ imtihān-e-ishq kī qaideñ
jo apnī hasti-e-mauhūm kā manshā samajhte haiñ
vafādāroñ se pūchho narḳh apnī jins-e-ulfat kā
agar sar de ke bhī mil jaa.e to sastā samajhte haiñ
unhīñ ke sar rahā kartā hai mohrā nā-ḳhudā.ī kā
jo qatre kī haqīqat ko bhī ik dariyā samajhte haiñ
gila be-sūd hai ai 'jurm' be-mehrī-e-ālam kā
burā kuchh log kahte haiñ to kuchh achchhā samajhte haiñ
nahin malum wo apni wafa ko kya samajhte hain
tere inkar karne ko bhi jo wada samajhte hain
zamane ko tumhaara aur tumhein apna samajhte hain
agar aisa samajhte hain to kya beja samajhte hain
na puchho hum mohabbat ki KHalish ko kya samajhte hain
ye wo neamat hai jis ko hasil-e-duniya samajhte hain
pahunch jaane mein un tak hai to bas ye zindagi hail
hum apni sans ko bhi rah ka kanTa samajhte hain
zamin se sar uThate hi nigahen chaar ho jaen
haqiqat mein usi sajde ko hum sajda samajhte hain
sunana tha dil-e-betab ka qissa suna Dala
wo sun kar dekhiye kya sochte hain kya samajhte hain
unhin ke waste hain imtihan-e-ishq ki qaiden
jo apni hasti-e-mauhum ka mansha samajhte hain
wafadaron se puchho narKH apni jins-e-ulfat ka
agar sar de ke bhi mil jae to sasta samajhte hain
unhin ke sar raha karta hai mohra na-KHudai ka
jo qatre ki haqiqat ko bhi ek dariya samajhte hain
gila be-sud hai ai 'jurm' be-mehri-e-alam ka
bura kuchh log kahte hain to kuchh achchha samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.