nahin milte jahan mein zaKHm-e-pinhan dekhne wale
nahīñ milte jahāñ meñ zaḳhm-e-pinhāñ dekhne vaale
bahut mil jā.eñge chāk-e-garebāñ dekhne vaale
ḳhudā jaane ye kyā tāsīr hai zulf-e-pareshāñ meñ
pareshāñ haiñ tirī zulf-e-pareshāñ dekhne vaale
nazar ke hosh uḌ jaate haiñ ba.az-auqāt ujāle meñ
nazar rakkheñ añdhere meñ charāġhāñ dekhne vaale
tumheñ tūfāñ se kyā nisbat tumheñ sāhil pe rahnā hai
salāmat haiñ abhī ham zor-e-tūfāñ dekhne vaale
yahāñ insāniyat kī nabz hai bechain rukne ko
ḳhudā jaane kahāñ haiñ nabz-e-daurāñ dekhne vaale
dil-e-pur-dard meñ kuchh daaġh raushan ham bhī rakhte haiñ
idhar aa.eñ zarā bazm-e-charāġhāñ dekhne vaale
tasavvur meñ safar nazroñ kā kis se tai huā 'aḳhtar'
kahāñ haiñ un ko nazdīk-e-rag-e-jāñ dekhne vaale
nahin milte jahan mein zaKHm-e-pinhan dekhne wale
bahut mil jaenge chaak-e-gareban dekhne wale
KHuda jaane ye kya tasir hai zulf-e-pareshan mein
pareshan hain teri zulf-e-pareshan dekhne wale
nazar ke hosh uD jate hain baz-auqat ujale mein
nazar rakkhen andhere mein charaghan dekhne wale
tumhein tufan se kya nisbat tumhein sahil pe rahna hai
salamat hain abhi hum zor-e-tufan dekhne wale
yahan insaniyat ki nabz hai bechain rukne ko
KHuda jaane kahan hain nabz-e-dauran dekhne wale
dil-e-pur-dard mein kuchh dagh raushan hum bhi rakhte hain
idhar aaen zara bazm-e-charaghan dekhne wale
tasawwur mein safar nazron ka kis se tai hua 'aKHtar'
kahan hain un ko nazdik-e-rag-e-jaan dekhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.