nahin milte wo ab to kya baat hai
nahīñ milte vo ab to kyā baat hai
yahāñ ḳhud se bhī kab mulāqāt he
tire dhyān ke sab ujāle ga.e
bas ab ham haiñ aur dukh bharī raat hai
hamārī taraf bhī kabhī ik nigāh
hameñ bhī bahut nashsha-e-zāt hai
sulagtā huā din jo kaT bhī gayā
to phir aañch detī huī raat hai
shikāyat kisī se to kyā thī magar
gila ek rasm-e-ḳharābāt hai
nayā dukh to miltā hai kis ko yahāñ
magar ġham kī har shab na.ī raat hai
har ik shaam taaza umīd-e-visāl
har ik roz roz-e-mukāfāt hai
nahin milte wo ab to kya baat hai
yahan KHud se bhi kab mulaqat he
tere dhyan ke sab ujale gae
bas ab hum hain aur dukh bhari raat hai
hamari taraf bhi kabhi ek nigah
hamein bhi bahut nashsha-e-zat hai
sulagta hua din jo kaT bhi gaya
to phir aanch deti hui raat hai
shikayat kisi se to kya thi magar
gila ek rasm-e-KHarabaat hai
naya dukh to milta hai kis ko yahan
magar gham ki har shab nai raat hai
har ek sham taza umid-e-visal
har ek roz roz-e-mukafat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.