nahin mujhko pata wo mera hai bhi ya nahin hai
nahīñ mujh ko pata vo merā hai bhī yā nahīñ hai
musalsal rābta hai us se par rishta nahīñ hai
kitābeñ ho ga.iiñ beva kutub-ḳhānoñ ke andar
kisī ne muddatoñ in kī taraf dekhā nahīñ hai
hai imkānāt kā kitnā baḌā sā dā.era par
baḌī shāyad mirī hī soch kī duniyā nahīñ hai
bhaTakte phir rahe dar-dar marammat meñ ḳhudī kī
kahā thā nā mohabbat 'aql kā rasta nahīñ hai
jo battī bujh ga.ī thī aaj raushan ho rahī hai
añdherā 'umr-bhar tak ik jagah Tiktā nahīñ hai
nahin mujh ko pata wo mera hai bhi ya nahin hai
musalsal rabta hai us se par rishta nahin hai
kitaben ho gain bewa kutub-KHanon ke andar
kisi ne muddaton in ki taraf dekha nahin hai
hai imkanat ka kitna baDa sa daera par
baDi shayad meri hi soch ki duniya nahin hai
bhaTakte phir rahe dar-dar marammat mein KHudi ki
kaha tha na mohabbat 'aql ka rasta nahin hai
jo batti bujh gai thi aaj raushan ho rahi hai
andhera 'umr-bhar tak ek jagah Tikta nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.