nahin nibahi KHushi se ghami ko chhoD diya
nahīñ nibāhī ḳhushī se ġhamī ko chhoḌ diyā
tumhāre ba.ad bhī maiñ ne ka.ī ko chhoḌ diyā
hoñ jo bhī jaan kī jaañ vo gumān hote haiñ
sabhī the jaan kī jaañ aur sabhī ko chhoḌ diyā
shu.ūr ek shu.ūr-e-fareb hai so to hai
ġharaz ki āgahī nā-āgahī ko chhoḌ diyā
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī andeshgī ke sukh jhele
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī andeshgī ko chhoḌ diyā
nahin nibahi KHushi se ghami ko chhoD diya
tumhaare baad bhi main ne kai ko chhoD diya
hon jo bhi jaan ki jaan wo guman hote hain
sabhi the jaan ki jaan aur sabhi ko chhoD diya
shuur ek shuur-e-fareb hai so to hai
gharaz ki aagahi na-agahi ko chhoD diya
KHayal-o-KHwab ki andeshgi ke sukh jhele
KHayal-o-KHwab ki andeshgi ko chhoD diya
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 147)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.