nahīñ piitā maiñ par navāzish huī hai
baḌī mausamoñ kī sifārish huī hai
bahut din se sahrā ke jaisā ye dil hai
na bādal ghire haiñ na bārish huī hai
yahāñ hai bulandī jo kirdār kī to
vahāñ ḳhāl-o-ḳhad kī numā.ish huī hai
tirī jhiil jaisī jo dekhī haiñ āñkheñ
mirī Duub jaane kī ḳhvāhish huī hai
chhalaktā nahīñ ḳhuun zaḳhmoñ se aise
kahīñ nāḳhunoñ kī bhī kāvish huī hai
hameñ 'ishq meñ mubtalā kar rahe haiñ
nazar aur dil meñ ye sāzish huī hai
vahāñ dushmanoñ kī baḌī yaad aa.ī
jahāñ dostoñ kī navāzish huī hai
vafā-dāriyoñ kā sila mil rahā hai
hamārī sadā āzmā.ish huī hai
pareshāniyoñ meñ jo ham mubtalā haiñ
yaqīnan koī ham se laġhzish huī hai
vahīñ apnī āñkhoñ ko ham chhoḌ aa.e
jahāñ manzaroñ kī numā.ish huī hai
raqīboñ ko hai chhūT mahfil meñ un kī
mire aane jaane pe bandish huī hai
ġhazal kahnā 'fārūq' maiñ chhoḌ dūñgā
isī baat par un se ranjish huī hai
nahin pita main par nawazish hui hai
baDi mausamon ki sifarish hui hai
bahut din se sahra ke jaisa ye dil hai
na baadal ghire hain na barish hui hai
yahan hai bulandi jo kirdar ki to
wahan KHal-o-KHad ki numaish hui hai
teri jhil jaisi jo dekhi hain aankhen
meri Dub jaane ki KHwahish hui hai
chhalakta nahin KHun zaKHmon se aise
kahin naKHunon ki bhi kawish hui hai
hamein 'ishq mein mubtala kar rahe hain
nazar aur dil mein ye sazish hui hai
wahan dushmanon ki baDi yaad aai
jahan doston ki nawazish hui hai
wafa-dariyon ka sila mil raha hai
hamari sada aazmaish hui hai
pareshaniyon mein jo hum mubtala hain
yaqinan koi hum se laghzish hui hai
wahin apni aankhon ko hum chhoD aae
jahan manzaron ki numaish hui hai
raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki
mere aane jaane pe bandish hui hai
ghazal kahna 'faruq' main chhoD dunga
isi baat par un se ranjish hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.