nahin puchhte hum kyon aisa kiya
nahīñ pūchhte ham kyoñ aisā kiyā
chalo jo kiyā tum ne achchhā kiyā
qayāmat talak ab chhupe hī raho
ye sab thā to kaahe ko parda kiyā
usī ne añdhere meñ rakkhā mujhe
usī ne phir aa kar ujālā kiyā
vahī mujh se kahtā hai nālish karo
vahī jis ne is dil pe qabza kiyā
usī ne milāyā mujhe ḳhaak meñ
vahī haath mal mal ke royā kiyā
koī baat jhagḌe kī thī hī nahīñ
maiñ kal be-sabab us se uljhā kiyā
shagūfe haiñ sab us ke chhoḌe hue
usī ne ye saarā tamāshā kiyā
rahī der tak ḳhud se guft-o-shunūd
phir aaj us kī yādoñ ne tanhā kiyā
nahin puchhte hum kyon aisa kiya
chalo jo kiya tum ne achchha kiya
qayamat talak ab chhupe hi raho
ye sab tha to kahe ko parda kiya
usi ne andhere mein rakkha mujhe
usi ne phir aa kar ujala kiya
wahi mujh se kahta hai nalish karo
wahi jis ne is dil pe qabza kiya
usi ne milaya mujhe KHak mein
wahi hath mal mal ke roya kiya
koi baat jhagDe ki thi hi nahin
main kal be-sabab us se uljha kiya
shagufe hain sab us ke chhoDe hue
usi ne ye sara tamasha kiya
rahi der tak KHud se guft-o-shunud
phir aaj us ki yaadon ne tanha kiya
- Book : غبار حیرانی (Pg. 136)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.