nahin sharik azabon ka jaan-e-jaan koi
nahīñ sharīk azāboñ kā jān-e-jāñ koī
ḳhudā gavāh nahīñ hai nahīñ yahāñ koī
vo dekho baañh pasāre hai sāmne manzil
faqat gumāñ hai ki hai raah darmiyāñ koī
chubhan sī kaise piro dī hai us ne sāñsoñ meñ
shikāyatoñ meñ numāyāñ hai mehrbāñ koī
ināyateñ haiñ tirī dhuup sard mausam kī
baḌhe jo had se to baiThe bhalā kahāñ koī
rahā vo gosh-bar-āvāz aur hameñ barsoñ
ḳhayāl tak nahīñ aa yā ki hai yahāñ koī
sivā.e halqa-e-yārāñ meñ apnī shohrat ke
hamārī zaat kā dushman yahāñ kahāñ koī
har ek samt ḳhamoshī kā kufr chhāyā hai
hamārī zaat ke sahrā meñ de azaañ koī
nahin sharik azabon ka jaan-e-jaan koi
KHuda gawah nahin hai nahin yahan koi
wo dekho banh pasare hai samne manzil
faqat guman hai ki hai rah darmiyan koi
chubhan si kaise piro di hai us ne sanson mein
shikayaton mein numayan hai mehrban koi
inayaten hain teri dhup sard mausam ki
baDhe jo had se to baiThe bhala kahan koi
raha wo gosh-bar-awaz aur hamein barson
KHayal tak nahin aa ya ki hai yahan koi
siwae halqa-e-yaran mein apni shohrat ke
hamari zat ka dushman yahan kahan koi
har ek samt KHamoshi ka kufr chhaya hai
hamari zat ke sahra mein de azan koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.