nahin shuur-e-nazar kisi mein
nahīñ shu.ūr-e-nazar kisī meñ
hazāroñ ġham haiñ mirī hañsī meñ
nahīñ hai me.aar koī baaqī
na dushmanī meñ na dostī meñ
na chheḌ un ko ai jazba-e-dil
vo ro paḌeñge hañsī hañsī meñ
payambar-e-tīrgī bhī ik din
zarūr ā.eñge raushnī meñ
zarā koī rāhbar se kah de
ki rāz-e-manzil hai gumrahī meñ
mazāq-e-mahfil girā huā hai
na TuuTe dil koī dil-lagī meñ
bujhī huī sham.a saath le kar
bhaTak rahe haiñ vo tīrgī meñ
ḳhudā kā irfāñ yahī hai 'ashraf'
ki lutf aa jaa.e bandagī meñ
nahin shuur-e-nazar kisi mein
hazaron gham hain meri hansi mein
nahin hai mear koi baqi
na dushmani mein na dosti mein
na chheD un ko ai jazba-e-dil
wo ro paDenge hansi hansi mein
payambar-e-tirgi bhi ek din
zarur aaenge raushni mein
zara koi rahbar se kah de
ki raaz-e-manzil hai gumrahi mein
mazaq-e-mahfil gira hua hai
na TuTe dil koi dil-lagi mein
bujhi hui shama sath le kar
bhaTak rahe hain wo tirgi mein
KHuda ka irfan yahi hai 'ashraf'
ki lutf aa jae bandagi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.