nahin sikha tariq-e-nala-o-ah-o-fughan maine
nahīñ sīkhā tarīq-e-nāla-o-āh-o-fuġhāñ maiñ ne
mohabbat ko sikhā.ī hai mohabbat kī zabāñ maiñ ne
kuchh aisī barq-zan dekhī balā-e-nā-gahāñ maiñ ne
uThā dī sahm kar rasm-e-binā-e-āshiyāñ maiñ ne
mirī fitrat ne sīkhā hai kashākash-gīr-e-ġham honā
mohabbat ko navāzā hai ba-zauq-e-imtihāñ maiñ ne
ye ik tarmīm kī hai lāzmī ā.īn-e-ulfat meñ
vafā mahdūd na kī hai ba-qadr-e-imtihāñ maiñ ne
jahāñ hotī haiñ kuchh āvezisheñ yās-o-tamanna meñ
ik aisī bhī ḳhalish dekhī hai dil ke darmiyāñ maiñ ne
kabhī yuuñ bhī kiyā hai ehtirām-e-jazba-e-jānāñ
ki aksar ḳhud se ḳhud ko kar liyā hai bad-gumāñ maiñ ne
zabāñ ko zahmateñ detā nahīñ ab maiñ takallum kī
nazar ko kar diyā hai vāqif-e-ramz-e-bayāñ maiñ ne
kisī se kyā kahūñ anjām-e-ishq-e-ātishīñ 'ahmar'
har ik mū-e-badan meñ jazb kar lī hai fuġhāñ maiñ ne
nahin sikha tariq-e-nala-o-ah-o-fughan main ne
mohabbat ko sikhai hai mohabbat ki zaban main ne
kuchh aisi barq-zan dekhi bala-e-na-gahan main ne
uTha di sahm kar rasm-e-bina-e-ashiyan main ne
meri fitrat ne sikha hai kashakash-gir-e-gham hona
mohabbat ko nawaza hai ba-zauq-e-imtihan main ne
ye ek tarmim ki hai lazmi aain-e-ulfat mein
wafa mahdud na ki hai ba-qadr-e-imtihan main ne
jahan hoti hain kuchh aawezishen yas-o-tamanna mein
ek aisi bhi KHalish dekhi hai dil ke darmiyan main ne
kabhi yun bhi kiya hai ehtiram-e-jazba-e-jaanan
ki aksar KHud se KHud ko kar liya hai bad-guman main ne
zaban ko zahmaten deta nahin ab main takallum ki
nazar ko kar diya hai waqif-e-ramz-e-bayan main ne
kisi se kya kahun anjam-e-ishq-e-atishin 'ahmar'
har ek mu-e-badan mein jazb kar li hai fughan main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.