nahin tere siwa kuchh aarzu hai
nahīñ tere sivā kuchh aarzū hai
hamāre dil meñ bas ik tū hī tū hai
dikhā.ī de hameñ kuchh aur kaise
hamāre chār-sū jab tū hī tū hai
tumheñ ai jaan chhū sakte nahīñ ham
kabhū sho'la hai to shabnam kabhū hai
jise dekho hai bas maa.el usī kā
hamārā yaar bhī kyā ḳhūb-rū hai
nahīñ ham laḌkhaḌā ke girne vaale
ki jab tak haath meñ jām-o-subū hai
tabī'at meñ anā shāmil ho jin kī
miyāñ bekār un se guftugū hai
tirī hī fikr meñ rahtā hai vo bhī
tujhe ai 'tāj' jis kī justujū hai
nahin tere siwa kuchh aarzu hai
hamare dil mein bas ek tu hi tu hai
dikhai de hamein kuchh aur kaise
hamare chaar-su jab tu hi tu hai
tumhein ai jaan chhu sakte nahin hum
kabhu sho'la hai to shabnam kabhu hai
jise dekho hai bas mael usi ka
hamara yar bhi kya KHub-ru hai
nahin hum laDkhaDa ke girne wale
ki jab tak hath mein jam-o-subu hai
tabi'at mein ana shamil ho jin ki
miyan bekar un se guftugu hai
teri hi fikr mein rahta hai wo bhi
tujhe ai 'taj' jis ki justuju hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.