nahin tha koi gila aag ko rawani se
nahīñ thā koī gila aag ko ravānī se
havā thī jis ne liyā intiqām paanī se
payām aate rahe jā-e-lā-makānī se
gayā na koī javāb is sarā-e-fānī se
kahāñ ke dasht qadāmat hī kho ga.ī ab to
pale-baḌhe haiñ ye shahroñ kī mehrbānī se
hayāt phir se chalī laḌkhaḌā ke mastī meñ
sañbhal ga.ī thī kisī marg-e-nā-gahānī se
phahar ke paal khulī naav key sar-e-mastūl
safīr taaza hue bād-e-bādbānī se
haTā na lījiyo mahfil meñ mujh se apnī nigah
nishista huuñ maiñ isī baar key girānī se
junūn merā karishma hai ai ḳhudā mirā naam
judā hī rakh kisī ummat kī rā.egānī se
nahin tha koi gila aag ko rawani se
hawa thi jis ne liya intiqam pani se
payam aate rahe ja-e-la-makani se
gaya na koi jawab is sara-e-fani se
kahan ke dasht qadamat hi kho gai ab to
pale-baDhe hain ye shahron ki mehrbani se
hayat phir se chali laDkhaDa ke masti mein
sanbhal gai thi kisi marg-e-na-gahani se
phahar ke pal khuli naw key sar-e-mastul
safir taza hue baad-e-baadbani se
haTa na lijiyo mahfil mein mujh se apni nigah
nishista hun main isi bar key girani se
junun mera karishma hai ai KHuda mera nam
juda hi rakh kisi ummat ki raegani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.