nahin ye jit nahin hai tu isko mat samajh
nahīñ ye jiit nahīñ hai tū is ko maat samajh
ki tere saath yahāñ ho gayā hai haath samajh
maiñ apne payāde se terā vazīr māruñgā
ba-ġhaur dekh mirī chaal vārdāt samajh
kisī kisī pe hī khulte haiñ pech-o-ḳham mere
maiñ itnā sahl nahīñ merī mushkilāt samajh
mohabbat itnī ri.āyat nahīñ diyā kartī
agar vo hañs ke bhī dekhe to iltifāt samajh
mirī kahānī tire chehre par likhī huī hai
maiñ aa.ina huuñ mujhe dekh aur baat samajh
dafīna jaan in āñkhoñ ko hijr meñ us ke
jo in meñ ashk haiñ pinhāñ navādirāt samajh
guzar chukā hai agar tū sin-e-bulūġhat se
tū apne jism ko ab vājibuzzakāt samajh
nazar ko ek hī nuqte pe murtakiz kar le
dil-o-nigāh kī uljhan ko ek saath samajh
dhaḌak rahā hai ye kis shaḳhs kī mohabbat meñ
samajh meñ aa.eñ to dil ke muāmalāt samajh
ye chalte-phirte hue but haiñ aadmī to nahīñ
zamīñ pe chār-sū barpā hai somnāt samajh
ik ek lafz alāmat hai husn-e-fitrat kī
ye shā.irī hai so is kī jamāliyāt samajh
ruke hue bhī safar kar rahī hai ḳhaak mirī
guzar rahī hai guzāre binā hayāt samajh
khulī hai jab se tirī kīna-parvarī mujh par
to aa ga.ī hai mujhe ek ek baat samajh
tujhe ye ishq kī jānib dhakel saktā hai
samajh rahā hai to dil ko bhī dost ghaat samajh
jo mujh pe biitā hai maiñ ne vahī likhā hai 'zeb'
tū mere sheroñ ko bas mere tajrabāt samajh
nahin ye jit nahin hai tu is ko mat samajh
ki tere sath yahan ho gaya hai hath samajh
main apne payaade se tera wazir marunga
ba-ghaur dekh meri chaal wardat samajh
kisi kisi pe hi khulte hain pech-o-KHam mere
main itna sahl nahin meri mushkilat samajh
mohabbat itni riayat nahin diya karti
agar wo hans ke bhi dekhe to iltifat samajh
meri kahani tere chehre par likhi hui hai
main aaina hun mujhe dekh aur baat samajh
dafina jaan in aankhon ko hijr mein us ke
jo in mein ashk hain pinhan nawadiraat samajh
guzar chuka hai agar tu sin-e-bulughat se
tu apne jism ko ab wajibuzzakat samajh
nazar ko ek hi nuqte pe murtakiz kar le
dil-o-nigah ki uljhan ko ek sath samajh
dhaDak raha hai ye kis shaKHs ki mohabbat mein
samajh mein aaen to dil ke muamalat samajh
ye chalte-phirte hue but hain aadmi to nahin
zamin pe chaar-su barpa hai somnat samajh
ek ek lafz alamat hai husn-e-fitrat ki
ye shairi hai so is ki jamaliyat samajh
ruke hue bhi safar kar rahi hai KHak meri
guzar rahi hai guzare bina hayat samajh
khuli hai jab se teri kina-parwari mujh par
to aa gai hai mujhe ek ek baat samajh
tujhe ye ishq ki jaanib dhakel sakta hai
samajh raha hai to dil ko bhi dost ghat samajh
jo mujh pe bita hai main ne wahi likha hai 'zeb'
tu mere sheron ko bas mere tajrabaat samajh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.