nahr ki dhaaron se nikle aur nadi mein phans gae
nahr kī dhāroñ se nikle aur nadī meñ phañs ga.e
yā'nī bach kar dostī se 'āshiqī meñ phañs ga.e
bevaqūfoñ meñ gine jaate haiñ sāda-dil yahāñ
kis sadī ke log haiñ ham kis sadī meñ phañs ga.e
ġham ke taare aañkh ke sayyāre se TuuTe haiñ aur
ham ḳhushī paane ko duniyā-e-hañsī meñ phañs ga.e
ham haiñ vo 'ushshāq jin ke vāste hai jāl-e-husn
ik galī se bach ga.e to dūsrī meñ phañs ga.e
ab talak us shaḳhs ke das din nahīñ guzre yā phir
mere achchhe vaqt ke purze ghaḌī meñ phañs ga.e
us ne merī fikr ke gul chūme the ik din 'bilāl'
tab se misre un laboñ kī tāzgī meñ phañs ga.e
nahr ki dhaaron se nikle aur nadi mein phans gae
ya'ni bach kar dosti se 'ashiqi mein phans gae
bewaqufon mein gine jate hain sada-dil yahan
kis sadi ke log hain hum kis sadi mein phans gae
gham ke tare aankh ke sayyare se TuTe hain aur
hum KHushi pane ko duniya-e-hansi mein phans gae
hum hain wo 'ushshaq jin ke waste hai jal-e-husn
ek gali se bach gae to dusri mein phans gae
ab talak us shaKHs ke das din nahin guzre ya phir
mere achchhe waqt ke purze ghaDi mein phans gae
us ne meri fikr ke gul chume the ek din 'bilal'
tab se misre un labon ki tazgi mein phans gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.