nai qasr-e-jam na KHana-e-qaisar nazar mein hai
nai qasr-e-jam na ḳhāna-e-qaisar nazar meñ hai
ham jis ko chhoḌ aa.e vahī ghar nazar meñ hai
raushan hazār rang kā paikar nazar meñ hai
hairāñ hai aañkh ā.ina-manzar nazar meñ hai
chalte hue paroñ kī siyāhī shafaq pe hai
sho'loñ meñ raakh hotā huā ghar nazar meñ hai
hai mā'raka to ḳhatm magar āsmāñ hai surḳh
neze pe āftāb hai jo sar nazar meñ hai
tā.ūs ke paroñ pe haiñ chingāriyoñ ke phuul
jangal kī shāḳh-shāḳh sharar shar nazar meñ hai
duniyā meñ apnī aañkh khulī rakh na itnī der
manzar hai jo yahāñ kā vo dam-bhar nazar meñ hai
nai qasr-e-jam na KHana-e-qaisar nazar mein hai
hum jis ko chhoD aae wahi ghar nazar mein hai
raushan hazar rang ka paikar nazar mein hai
hairan hai aankh aaina-manzar nazar mein hai
chalte hue paron ki siyahi shafaq pe hai
sho'lon mein rakh hota hua ghar nazar mein hai
hai ma'raka to KHatm magar aasman hai surKH
neze pe aaftab hai jo sar nazar mein hai
taus ke paron pe hain chingariyon ke phul
jangal ki shaKH-shaKH sharar shar nazar mein hai
duniya mein apni aankh khuli rakh na itni der
manzar hai jo yahan ka wo dam-bhar nazar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.