nai duniya tera charcha bahut hai
na.ī duniyā tirā charchā bahut hai
mirā beTā bhī āvāra bahut hai
maiñ shāyad pāgaloñ sā lag rahā huuñ
vo mujh ko dekh kar hañstā bahut hai
ye bikhrī pattiyāñ jis phuul kī haiñ
vo apnī shāḳh par mahkā bahut hai
simaT jaa.eñ to dushman ke muqābil
hamārī qaum kā bachcha bahut hai
samundar se muāfī chāhte haiñ
hamārī pyaas ko qatra bahut hai
usī ke saa.e meñ kab se khaḌā huuñ
vo ik dīvār jo ḳhasta bahut hai
maiñ kab tak dar-ba-dar phirtā rahūñgā
tumhāre ghar kā darvāza bahut hai
ġhazal bhārat meñ likkhī jā rahī hai
magar ham-sā.e kā charchā bahut hai
use ustād kahtā hai zamāna
jo paḌhtā kam hai aur likhtā bahut hai
nai duniya tera charcha bahut hai
mera beTa bhi aawara bahut hai
main shayad pagalon sa lag raha hun
wo mujh ko dekh kar hansta bahut hai
ye bikhri pattiyan jis phul ki hain
wo apni shaKH par mahka bahut hai
simaT jaen to dushman ke muqabil
hamari qaum ka bachcha bahut hai
samundar se muafi chahte hain
hamari pyas ko qatra bahut hai
usi ke sae mein kab se khaDa hun
wo ek diwar jo KHasta bahut hai
main kab tak dar-ba-dar phirta rahunga
tumhaare ghar ka darwaza bahut hai
ghazal bhaarat mein likkhi ja rahi hai
magar ham-sae ka charcha bahut hai
use ustad kahta hai zamana
jo paDhta kam hai aur likhta bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.