nai ghazlen likhun kis ke liye aur git sajaun kis ke liye
nai ghazlen likhun kis ke liye aur git sajaun kis ke liye
Arif Hasan Khan
MORE BYArif Hasan Khan
na.ī ġhazleñ likhūñ kis ke liye aur giit sajā.ūñ kis ke liye
mirā ham-dam mujh se ruuTh gayā ab naġhme gā.ūñ kis ke liye
vo paas jo thā to us ke liye auroñ se bhī laḌnā paḌtā thā
ab kis ke liye maiñ kis se laḌūñ aur ḳhud ko jalā.ūñ kis ke liye
ik us ke tabassum kī ḳhātir dukh-dard hazāroñ sahtā thā
ab kis ke liye dukh-dard sahūñ aur ashk bahā.ūñ kis ke liye
vo thā to faqat us kī ḳhātir auroñ se bhī milnā paḌtā thā
ab aise vaise logoñ ke maiñ naaz uThā.ūñ kis ke liye
maiñ us ke liye hī sañvartā thā aur ḳhud ko sajāyā kartā thā
ab ḳhud ko sañvārūñ kis ke liye aur ghar ko sajā.ūñ kis ke liye
jab des meñ koī apnā thā pardes meñ kab jī lagtā thā
ab kis ke liye ghar yaad aa.e aur des ko jā.ūñ kis ke liye
us kā nahīñ 'ārif' koī badal aisā hai vo merā jān-e-ġhazal
ab us ke sivā kyā yaad rakhūñ aur us ko bhulā.ūñ kis ke liye
nai ghazlen likhun kis ke liye aur git sajaun kis ke liye
mera ham-dam mujh se ruTh gaya ab naghme gaun kis ke liye
wo pas jo tha to us ke liye auron se bhi laDna paDta tha
ab kis ke liye main kis se laDun aur KHud ko jalaun kis ke liye
ek us ke tabassum ki KHatir dukh-dard hazaron sahta tha
ab kis ke liye dukh-dard sahun aur ashk bahaun kis ke liye
wo tha to faqat us ki KHatir auron se bhi milna paDta tha
ab aise waise logon ke main naz uThaun kis ke liye
main us ke liye hi sanwarta tha aur KHud ko sajaya karta tha
ab KHud ko sanwarun kis ke liye aur ghar ko sajaun kis ke liye
jab des mein koi apna tha pardes mein kab ji lagta tha
ab kis ke liye ghar yaad aae aur des ko jaun kis ke liye
us ka nahin 'arif' koi badal aisa hai wo mera jaan-e-ghazal
ab us ke siwa kya yaad rakhun aur us ko bhulaun kis ke liye
- Book : Kuchh Nazmen Kuchh Ghazalen (Pg. 103)
- Author : Arif Hasan Khan
- Publication : Arif Hasan Khan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.