nai hawaon ke hamrah chal raha hun main
na.ī havāoñ ke hamrāh chal rahā huuñ maiñ
badal rahā hai zamāna badal rahā huuñ maiñ
ye kaisī aag hai us ke badan se uThtī huī
ki us ko dekh rahā huuñ to jal rahā huuñ maiñ
unheñ ye fikr nahīñ hai ki bujh rahe haiñ vo
unheñ to ḳhauf hai is kā ki jal rahā huuñ maiñ
mire 'urūj kī jis ne du'ā.eñ māñgī thiiñ
ḳhabar karo zarā us ko ki Dhal rahā huuñ maiñ
jo mere naam se hotā hai ab shikan-ālūd
ka.ī baras usī māthe kā bal rahā huuñ maiñ
na manziloñ kā pata hai na rāstoñ kā surāġh
bas ik talāsh hai terī so chal rahā huuñ maiñ
azal se 'nūr' hai mujh ko sukūn-e-dil kī talāsh
aur is talāsh meñ bas ghar badal rahā huuñ maiñ
nai hawaon ke hamrah chal raha hun main
badal raha hai zamana badal raha hun main
ye kaisi aag hai us ke badan se uThti hui
ki us ko dekh raha hun to jal raha hun main
unhen ye fikr nahin hai ki bujh rahe hain wo
unhen to KHauf hai is ka ki jal raha hun main
mere 'uruj ki jis ne du'aen mangi thin
KHabar karo zara us ko ki Dhal raha hun main
jo mere nam se hota hai ab shikan-alud
kai baras usi mathe ka bal raha hun main
na manzilon ka pata hai na raston ka suragh
bas ek talash hai teri so chal raha hun main
azal se 'nur' hai mujh ko sukun-e-dil ki talash
aur is talash mein bas ghar badal raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.