nai jafa ka mujhe ab to koi bab na de
na.ī jafā kā mujhe ab to koī baab na de
maiñ jis ko paḌh ke bahak jā.ūñ vo kitāb na de
ḳhudā banā to liyā maiñ ne ek patthar ko
savāl kaise karūñ jab ki vo javāb na de
ugā de dard kā sūraj hamāre ghar meñ magar
jalā de raushnī jis kī vo māhtāb na de
chaman chaman meñ vo phūloñ kā bādshāh sahī
magar jo rang mirā zaḳhm de gulāb na de
chubhe jo ḳhaar kī mānind har-nafas 'parvez'
satā le mujh ko magar koī aisā ḳhvāb na de
nai jafa ka mujhe ab to koi bab na de
main jis ko paDh ke bahak jaun wo kitab na de
KHuda bana to liya main ne ek patthar ko
sawal kaise karun jab ki wo jawab na de
uga de dard ka suraj hamare ghar mein magar
jala de raushni jis ki wo mahtab na de
chaman chaman mein wo phulon ka baadshah sahi
magar jo rang mera zaKHm de gulab na de
chubhe jo KHar ki manind har-nafas 'parwez'
sata le mujh ko magar koi aisa KHwab na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.