nai maujon ke kitne silsile pani mein aate hain
na.ī maujoñ ke kitne silsile paanī meñ aate haiñ
safīne jab kabhī dariyā kī mehmānī meñ aate haiñ
ye mumkin hai tabī.at saḳht-koshī par hī maa.il ho
suhūlat chhoḌ kar ham kyoñ pareshānī meñ aate haiñ
yahāñ ab sa.ī-e-askandar kī kaise daad dī jaa.e
ki ham to dekh kar ā.īna hairānī meñ aate haiñ
kahīñ dil ko hamāre ġham-pasandī kī na aadat ho
maze us ko bhī aksar marsiya-ḳhvānī meñ aate haiñ
isī baa.is yahāñ māhaul vahshat-nāk rahtā hai
darinde bhī bahut se shakl-e-insānī meñ aate haiñ
nai maujon ke kitne silsile pani mein aate hain
safine jab kabhi dariya ki mehmani mein aate hain
ye mumkin hai tabiat saKHt-koshi par hi mail ho
suhulat chhoD kar hum kyon pareshani mein aate hain
yahan ab sai-e-askandar ki kaise dad di jae
ki hum to dekh kar aaina hairani mein aate hain
kahin dil ko hamare gham-pasandi ki na aadat ho
maze us ko bhi aksar marsiya-KHwani mein aate hain
isi bais yahan mahaul wahshat-nak rahta hai
darinde bhi bahut se shakl-e-insani mein aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.