nai naslon se usko bhi kabhi izzat nahin milti
na.ī nasloñ se us ko bhī kabhī 'izzat nahīñ miltī
buzurgoñ se jise tahzīb kī daulat nahīñ miltī
mohabbat ke liye qurbāniyāñ to denī paḌtī haiñ
kisī ko maut se pahle kabhī jannat nahīñ miltī
sitam ye hai ki maiñ jin ke liye masrūf rahtā huuñ
unhīñ se baat karne kī mujhe fursat nahīñ miltī
junūn-e-'ishq ho to ḳhaak meñ mil jaanā paḌtā hai
gharoñ meñ baiThe rahne se kabhī shohrat nahīñ miltī
'ajab ik be-yaqīnī ne mirā dil gher rakkhā hai
koī bhī haath ho sar par mujhe rāhat nahīñ miltī
nai naslon se us ko bhi kabhi 'izzat nahin milti
buzurgon se jise tahzib ki daulat nahin milti
mohabbat ke liye qurbaniyan to deni paDti hain
kisi ko maut se pahle kabhi jannat nahin milti
sitam ye hai ki main jin ke liye masruf rahta hun
unhin se baat karne ki mujhe fursat nahin milti
junun-e-'ishq ho to KHak mein mil jaana paDta hai
gharon mein baiThe rahne se kabhi shohrat nahin milti
'ajab ek be-yaqini ne mera dil gher rakkha hai
koi bhi hath ho sar par mujhe rahat nahin milti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.