nai paud ke soch-mahal mein uTThin nai nai diwaren
nai paud ke soch-mahal mein uTThin nai nai diwaren
Bimal Krishn Ashk
MORE BYBimal Krishn Ashk
na.ī paud ke soch-mahal meñ uTThīñ na.ī na.ī dīvāreñ
jaise ghar vaale vaisā ghar jaisā ghar vaisī dīvāreñ
kis se gilā kareñ vo yā maiñ āḳhir rañj nijī hotā hai
us tak us kī raah kī miTTī aur mujh tak merī dīvāreñ
ka.ī baat to ghar meñ leTe leTe dam ghuTne lagtā hai
aage pīchhe baḌhtī ghaTtī rahtī haiñ ghar kī dīvāreñ
har din ham banjāroñ aisā koī safar kar ke dekhe to
paañv tale dhañstī sī dhartī kāñdhoñ par pakkī dīvāreñ
mujh ko hattyārā mat kahnā merā lahū hai un hāthoñ par
jin hāthoñ par rok rahā huuñ chār-taraf girtī dīvāreñ
laakh badalnā chāho lekin maañ ko maañ kahte bantī hai
miTTī vahī vahī hai dhartī badal ga.iiñ pichhlī dīvāreñ
'ashk' koī hai mujh meñ jo din chaḌhte chaḌhte Dah detā hai
raat ga.e tak chunī huī be-hañgam miTTī kī dīvāreñ
nai paud ke soch-mahal mein uTThin nai nai diwaren
jaise ghar wale waisa ghar jaisa ghar waisi diwaren
kis se gila karen wo ya main aaKHir ranj niji hota hai
us tak us ki rah ki miTTi aur mujh tak meri diwaren
kai baat to ghar mein leTe leTe dam ghuTne lagta hai
aage pichhe baDhti ghaTti rahti hain ghar ki diwaren
har din hum banjaron aisa koi safar kar ke dekhe to
panw tale dhansti si dharti kandhon par pakki diwaren
mujh ko hattyara mat kahna mera lahu hai un hathon par
jin hathon par rok raha hun chaar-taraf girti diwaren
lakh badalna chaho lekin man ko man kahte banti hai
miTTi wahi wahi hai dharti badal gain pichhli diwaren
'ashk' koi hai mujh mein jo din chaDhte chaDhte Dah deta hai
raat gae tak chuni hui be-hangam miTTi ki diwaren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.